vo gandhi kahaan gaya!

usne mujhse ek baar jab bhagat singh ka zikr kiya,
to uski awaaz mein josh tha aur kuch ghamand bhi
kis baat ka ghamand?
shayad iska ki uske andar bhi ansh tha, us waqt, bhagat singh ka
tab waqt bhi kuch aur tha!
waqt fir guzra zindagi ki patdi par kuch iss tarah
manzar to badla hi, vo khud bhi badal gaya!

tab huyi thi usse mulakat fir ek baar,
is baar usne zikr kiya mahatma gandhi ka
is baar uski awaaz mein shanti thi par ghamand dugna
par kyu?
shayad isliye ki uske khayalon ne maar diya bhagat singh ko
shayad isliye ki tab voh ik peshewar ban gaya tha
aur bhagat singh ke baghipan ko man se mitaana zaroori tha

fir ik din vo mila, apni shohrat ka zikr karne laga
aur is baar uski awaaz mein sirf ghamand tha
is baar mujhe khud se koi sawaal puchne ki zaroorat na huyi
na hi mujhe "shayad" ki zanjeeron ne jakda
jab apni jeb se nikle ik note par us haste chehre ko dekha
to sochne laga "vo gandhi kahaan gaya!!!"

Comments

Popular Posts